pompiye  dafn  thā  sadiyoñ  se  jahāñ
ek  tahzīb  thī  poshīda  vahāñ
Dheroñ  pathrā.e  hue  vaqt  ke  safhoñ  ko  ulaT  kar  dekhā
ek  bhūlī  huī  tahzīb  ke  purze  se  bichhe  the  har-sū
vahī  maTke,  vahī  hāñDī,  vahī  TuuTe  piyāle
hoñT  TuuTe  hue,  laTkī  huī  miTTī  kī  zabāneñ  har-sū
hukmarānoñ  ke  mahal,  un  kī  fasīleñ,  sikke
rā.ij-ul-vaqt  jo  hathiyār  the  aur  un  ke  daste
ek  tahzīb  yahāñ  dafn  hai  aur  us  ke  qarīb
ek  tahzīb  ravāñ  hai,
hukmarāñ  bhī  haiñ,  mahal  bhī  haiñ,  fasleñ  bhī  haiñ
jel-ḳhāne  bhī  haiñ  aur  gas  ke  chamber  bhī  haiñ
merī  tahzīb  ne  ab  kitnī  taraqqī  kī  hai