Gulzar

siddhaarth ki ek raat

Gulzar

Dina Jhelum, Punjab, Pakistan

1936

koī pattā bhī nahīñ hiltā, na pardoñ meñ hai jumbish

phir bhī kānoñ meñ bahut tez havāoñ sadā hai

kitne ūñche haiñ ye mehrāb mahal ke

aur mehrāboñ se ūñchā vo sitāroñ se bharā thaal falak

raushnī band bhī kar dene se kyā hogā añdherā?

sirf āñkheñ nahīñ dekh sakeñgī ye chaugarda, maiñ agar kānoñ meñ kuchh Thūñs bhī luuñ

merī āñkhoñ se vo sūkhā huā Dhāñcha nahīñ girtā

jism jism to thaa, ruuh kahāñ thī us meñ

phir yakā-yak ye huā

sārthī, rok nahīñ paayā thaa, muñh-zor samay Tāpeñ

sabz shādāb daraḳhtoñ ke vajūd

apne mausam meñ to bin māñge bhī phal dete haiñ

jaise darvāze pe āmāl ke vo donoñ farishte

shaam se aag meñ bas

Top Urdushayar.com