mere  shānoñ  pe  tirā  sar  thā  nigāheñ  namnāk
ab  to  ik  yaad  sī  baaqī  hai  so  vo  bhī  kyā  hai
ghar  gayā  zehn  ġham-e-zīst  ke  andāzoñ  meñ
har  hathelī  pe  dhare  soch  rahā  huuñ  baiThā
kaash  us  vaqt  koī  pīr-e-ḳhamīda  aa  kar
kisī  āzurda  tabī.at  kā  fasāna  kahtā
ik  dhuñdlakā  sā  hai  dam  toḌ  chukā  hai  sūraj
din  ke  dāman  pe  haiñ  dhabbe  se  riyā-kārī  ke
aur  maġhrib  kī  fanā-gāh  meñ  phailā  huā  ḳhuuñ
dabtā  jaatā  hai  siyāhī  kī  tahoñ  ke  nīche
duur  tālāb  ke  nazdīk  vo  sūkhī  sī  babūl
chand  TuuTe  hue  vīrān  makānoñ  se  pare
haath  phailā.e  barahna  sī  khaḌī  hai  ḳhāmosh
jaise  ġhurbat  meñ  musāfir  ko  sahārā  na  mile
us  ke  pīchhe  se  jhijaktā  huā  ik  gol  sā  chāñd
ubhrā  be-nūr  shuāoñ  ke  safīne  ko  liye
maiñ  abhī  soch  rahā  huuñ  ki  agar  tū  mil  jaa.e
zindagī-go  hai  girāñ-bār  pa  itnī  na  rahe
chand  aañsū  ġham-e-gītī  ke  liye  chand  nafas
ek  ghaav  hai  jise  yuuñ  hī  siye  jaate  haiñ
maiñ  agar  jī  bhī  rahā  huuñ  to  ta.ajjub  kyā  hai
mujh  se  lākhoñ  haiñ  jo  be-sūd  jiye  jaate  haiñ
koī  markaz  hī  nahīñ  mere  taḳhayyul  ke  liye
is  se  kyā  fā.eda  jiite  rahe  aur  jī  na  sake
ab  irāda  hai  ki  patthar  ke  sanam  pūjūñgā
taaki  ghabrā.ūñ  to  Takrā  bhī  sakūñ  mar  bhī  sakūñ
aise  insānoñ  se  patthar  ke  sanam  achchhe  haiñ
un  ke  qadmoñ  pe  machaltā  ho  damaktā  huā  ḳhuuñ
aur  vo  merī  mohabbat  pe  kabhī  hañs  na  sakeñ
maiñ  bhī  be-rañg  nigāhoñ  kī  shikāyat  na  karūñ
yā  kahīñ  gosha-e-ahrām  ke  sannāTe  meñ
jā  ke  ḳhvābīda  farā.īn  se  itnā  pūchhūñ
har  zamāne  meñ  ka.ī  the  ki  ḳhudā  ek  hī  thā
ab  to  itne  haiñ  ki  hairān  huuñ  kis  ko  pūjūñ
ab  to  maġhrib  kī  fanā-gāh  meñ  vo  sog  nahīñ
aks  tahrīr  hai  ik  raat  kā  halkā  halkā
aur  pur-soz  dhundalke  se  vahī  gol  sā  chāñd
apnī  be-nūr  shuāoñ  kā  safīna  khetā
ubhrā  namnāk  nigāhoñ  se  mujhe  taktā  huā
jaise  ghul  kar  mire  aañsū  meñ  badal  jā.egā
haath  phailā.e  udhar  dekh  rahī  hai  vo  babūl
sochtī  hogī  koī  mujh  sā  hai  ye  bhī  tanhā
ā.īna  ban  ke  shab-o-roz  takā  kartā  hai
kaisā  tālāb  hai  jo  us  ko  harā  kar  na  sakā
yuuñ  guzāre  se  guzar  jā.eñge  din  apne  bhī
par  ye  hasrat  hī  rahegī  ki  guzāre  na  ga.e
ḳhuun  pī  pī  ke  pilā  kartī  hai  añgūr  kī  bel
gar  yahī  rañg-e-tamannā  thā  chalo  yūñhī  sahī
ḳhuun  piitī  rahī  baḌhtī  rahī  koñpal  koñpal
chhāñv  tāroñ  kī  shagūfoñ  ko  numū  detī  rahī
narm  shāḳhoñ  ko  thapakte  rahe  ayyām  ke  haath
yūñhī  din  biit  ga.e  sub.h  huī  shaam  huī
ab  magar  yaad  nahīñ  kyā  thā  ma.āl-e-ummīd
ek  tahrīr  hai  halkī  sī  lahū  kī  baaqī
bel  phaltī  hai  to  kāñToñ  ko  chhupā  letī  hai
zindagī  apnī  pareshāñ  thī  pareshāñ  hī  rahī
chāhtā  ye  thā  mire  zaḳhm  ke  añgūr  bañdheñ
ye  na  chāhā  thā  mirā  jām-e-tahī  rah  jaa.e
haath  phailā.e  udhar  dekh  rahī  hai  vo  babūl
sochtī  hogī  koī  mujh  sā  hai  ye  bhī  tanhā
ghir  gayā  zehn  ġham-e-zīst  ke  andāzoñ  meñ
kaisā  tālāb  hai  jo  us  ko  harā  kar  na  sakā
kaash  is  vaqt  koī  pīr-e-ḳhamīda  aa  kar
mere  shānoñ  ko  thapaktā  ġham-e-tanhā.ī  meñ