ye  nīm-ḳhvāb  ghaas  par  udaas  udaas  naqsh-e-pā
kuchal  rahā  hai  shabnamī  libās  kī  hayāt  ko
vo  motiyoñ  kī  bārisheñ  fazā  meñ  jazb  ho  ga.iiñ
jo  ḳhāk-dān-e-tīra  par  baras  rahī  thiiñ  raat  ko
ye  rahravān-e-zindagī  ḳhabar  nahīñ  kahāñ  ga.e
vo  kaun  sā  jahān  hai  azal  nahīñ  abad  nahīñ
darāz  se  darāz-tar  haiñ  halqa-hā-e-roz-o-shab
ye  kis  maqām  par  huuñ  maiñ  ki  bandishoñ  kī  had  nahīñ
hai  markaz-e-nigāh  par  chaTān  sī  khaḌī  huī
udhar  chaTān  se  pare  vasī.a-tar  hai  tīrgī
use  phalāñg  bhī  gayā  to  is  taraf  ḳhabar  nahīñ
adam  ḳharāb-tar  mile  na  maut  ho  na  zindagī
hazār  baar  chāhtā  huuñ  bandishoñ  ko  toḌ  duuñ
magar  ye  āhanī  rasan  ye  halqa-hā-e-bandagī
lipaT  ga.e  haiñ  paañv  se  lahū  meñ  jazb  ho  ga.e
maiñ  naqsh-pā-e-umr  huuñ  fareb-ḳhurda-e-ḳhushī
koī  nayā  ufuq  nahīñ  jahāñ  nazar  na  aa  sakeñ
ye  zard  zard  sūrateñ  ye  haDDiyoñ  ke  joḌ  se
havā  ke  bāzuoñ  meñ  kaash  itnī  taab  aa  sake
dikhā  sakeñ  vo  ahd-e-nau  hī  zindagī  ke  moḌ  se