jab  din  Dhal  jaatā  hai,  sūraj  dhartī  kī  oT  meñ  ho  jaatā  hai
aur  bhiḌoñ  ke  chhatte  jaisī  bhin-bhin
din  to  uḌ  jaate  haiñ
ye  sab  kaale  par  vaale  bagule  haiñ
bargad  ke  nīche  baiTho  yā  suulī  chaḌh  jaao
bhaiñse  laḌne  se  baaz  nahīñ  ā.eñge
gurgal  uḌ  kar  vo  pilkhan  par  jā  baiThī
pīpal  meñ  tote  ne  bachche  de  rakhe  haiñ
shāyad  patjhaḌ  kā  mausam  aa  pahuñchā
pattoñ  ke  girne  kī  āvāz  musalsal  aatī  hai
phūloñ  kī  ḳhushbū  se  kyā  kyā  yaad  aatā  hai
chauk  meñ  jis  din  phuul  paḌe  saḌte  the