Akhtar-ul-Iman

aamadgi

Akhtar-ul-Iman

Bijnor, Uttar pradesh, India

1915-1995

ek ik iiñT girī paḌī hai

sab dīvāreñ kaañp rahī haiñ

an-thak koshisheñ me.amāroñ

sar ko thāme haañp rahī haiñ

moTe moTe shahtīroñ

resha resha chhūT gayā hai

bhārī bhārī jāmid patthar

ek ik kar ke TuuT gayā hai

lohe zanjīreñ gal kar

ab himmat chhoḌ chukī haiñ

halqa halqa chhūT gayā hai

bandish bandish toḌ chukī haiñ

chūne ik patlī tah

girte girte baiTh ga.ī hai

nabzeñ chhūT ga.iiñ miTTī

miTTī se sar joḌ rahī hai

sab kuchh Dher hai ab miTTī

tasvīreñ vo dilkash naqshe

pahchāno to ro dogī tum

ghar meñ huuñ bāhar huuñ ghar se

ab aao to rakkhā kyā hai

chashme saare suukh ga.e haiñ

yuuñ chāho to aa saktī ho

maiñ ne aañsū poñchh liye haiñ

Top Urdushayar.com