idhar  se  na  jaao
idhar  raah  meñ  ek  būḌhā  khaḌā  hai
idhar  se  na  jaao
idhar  maiñ  ne  ik  shaḳhs  ko  jaate  dekhā  hai  aksar
idhar  se  na  jaao
idhar  raushnī  hai
idhar  se  na  jaao
idhar  shāh-nādir  nahīñ  aaj  koī  bhī  lekin
fasādāt  dekhe  the  taqsīm  ke  vaqt  tum  ne
havā  meñ  uchhalte  hue  DanThaloñ  kī  tarah  shīr-ḳhvāroñ  ko  dekhā  thā  kaTte
idhar  se  na  jaao
koī  raah  meñ  rok  legā
koī  aisī  sūrat  nikālo
ye  sab  āfateñ  apnā  dāman  na  pakḌeñ