pahlā  manzar
san  unnīs  sau  aḌtīs  hai
raat  ke  koī  aaTh  baje  haiñ
aaj  ye  sab  guzrī  bāteñ  haiñ
morī  darvāze  ke  bāhar
nashe  meñ  dhut  faujī  gore
añgrezī  sarkār  ke  chhore
tāñge  vāloñ  ko  piiT  rahe  haiñ
tāñge  vaale  ghabrā  ghabrā  kar
idhar-udhar  sab  bhaag  rahe  haiñ
aur  sipāhī  aañkh  churā  kar
dūsrī  jānib  dekh  rahe  haiñ
chalte  chalte  raah  meñ  ruk  kar
maiñ  ye  manzar  dekh  rahā  huuñ
dūsrā  manzar
fat.h-purī  masjid  ke  aage
haath  meñ  thāme  apnā  basta
maiñ  maktab  kī  samt  ravāñ  huuñ
shāhjahāñ  ke  lāl-qil.e  par
goroñ  kā  pahrā  baiThā  hai
chandni-chowk  meñ  dā.eñ-bā.eñ
galiyoñ  kūchoñ  bāzāroñ  meñ
bijlī  ke  khamboñ  par  har-sū
Dheroñ  laḌke  chaḌhe  hue  haiñ
aur  tāroñ  ko  kaaT  rahe  haiñ
police  golī  chalā  rahī  hai
chalte  chalte  raah  meñ  ruk  kar
maiñ  ye  manzar  dekh  rahā  huuñ
tīsrā  manzar
gore  london  chale  ga.e  haiñ
netā  rāh-numā  sab  ḳhush  haiñ
mulk  ne  paayā  hai  svārāj
lāl-qil.e  par  āzādī  kā
sah-rañgā  parcham  lahrāyā
lekin  ekā-ekī  jaise
parda  uTThā  manzar  badlā
dhuñd  sī  chhā.ī  hai  har  jānib
jo  kuchh  hai  sab  gadlā  gadlā
koī  nahīñ  suntā  hai  kisī  kī
ho  ga.e  log  achānak  bahre
railoñ  meñ  be-sar  kī  lāsheñ
saḌkoñ  par  be-dhaḌ  ke  chehre
harījan  bastī  kī  kuTiyā  meñ
ḳhuun  se  lat-pat  lahūluhān
kuTiyā  jaise  ik  shamshān
gāñdhī  jī  kī  laash  paḌī  hai