ḳhāmosh  hai  guñg  hai  siyah-posh
maazī  ke  mahal  kī  kohna  dīvār
TuuTā  nahīñ  be-hisī  kā  pindār
chhoḌā  thā  usī  mahal  ke  pīchhe
ahbāb  ko  sirf  naġhma-o-sāz
rakhte  the  sharāratoñ  kī  buniyād
hotā  thā  mohabbatoñ  kā  āġhāz
lauTā  huuñ  to  mahfileñ  haiñ  ḳhāmosh
aatī  nahīñ  qahqahoñ  kī  āvāz
zindāñ  kī  hadoñ  meñ  kho  ga.e  haiñ
dīvāne  bahal  ke  so  ga.e  haiñ
darvāzoñ  pe  de  rahā  huuñ  āvāz
ḳhāmosh  hai  guñg  hai  siyah-posh
maazī  ke  mahal  kī  kohna  dīvār
phailā.e  hue  zamīñ  hai  āġhosh
tārīkī  meñ  DhūñDhtā  huuñ  rāheñ
sūraj  ko  taras  ga.iiñ  nigāheñ