kuchh  aaise  haiñ  jo  zindagī  ko  mah-o-sāl  se  nāpte  haiñ
gosht  se  saag  se  daal  se  nāpte  haiñ
ye  lamha  jo  guzrā  mire  ḳhuun  kī  us  meñ  surḳhī  milī  hai?
mire  āñsuoñ  kā  namak  is  kī  lazzat  meñ  shāmil  huā  hai?
meñ  kab  se  zamīñ  par  zamīñ  kī  tarah  chal  rahā  huuñ
ye  dīvāna  andhā  safar  kab  kahāñ  jā  ke  chhoḌegā  mujh  ko?
maiñ  bikhrā  huā  aadmī  huuñ
mirī  zehnī  bīmāriyoñ  kā  sabab  ye  zamīñ  hai
ḳhudā  ek  hai  yuuñ  to  vāvian  meñ  saaf  likkhā  huā  hai
magar  zer-e-vāvain  bhī  chhoTī  chhoTī  bahut  taḳhtiyāñ  haiñ
havan  ho  rahe  haiñ
yag  ke  mantroñ  kī  sadā