tū  bhī  taqdīr  nahīñ  dard  bhī  pā.inda  nahīñ
tujh  se  vābasta  vo  ik  ahd  vo  paimān-e-vafā
raat  ke  āḳhirī  aañsū  kī  tarah  Duub  gayā
ḳhvāb-añgez  nigāheñ  vo  lab-e-dard-fareb
ik  fasāna  hai  jo  kuchh  yaad  rahā  kuchh  na  rahā
mere  dāman  meñ  na  kaliyāñ  haiñ  na  kāñTe  na  ġhubār
shaam  ke  saa.e  meñ  vāmāñda  sahar  baiTh  ga.ī
kārvāñ  lauT  gayā  mil  na  sakī  manzil-e-shauq
ek  ummīd  thī  so  ḳhāk-basar  baiTh  ga.ī
ek  do-rāhe  pe  hairān  huuñ  kis  samt  baḌhūñ
apnī  zanjīroñ  se  āzād  nahīñ  huuñ  shāyad
maiñ  bhī  gardish-e-gah-e-ayyām  kā  zindānī  huuñ
dard  hī  dard  huuñ  fariyād  nahīñ  huuñ  shāyad
zer-e-mizhgāñ  tapish-e-āh  ke  pighlā.e  hue
DabDabāte  hue  tāroñ  se  mujhe  kyā  lenā
tere  aañsū  mire  dāġhoñ  ko  nahīñ  dho  sakte
tere  phūloñ  kī  bahāroñ  se  mujhe  kyā  lenā
apne  anjām  kī  tashvīsh  ab  ā.inda  nahīñ