titliyāñ  nāchtī  haiñ
phuul  se  phuul  pe  yuuñ  jaatī  haiñ
dhuup  meñ  tezī  nahīñ
aise  aatā  hai  har  ik  jhoñkā  havā  kā  jaise
ik  parinda  kisī  ik  peḌ  kī  Tahnī  pe  chahaktā  hai  kahīñ
ek  gaatā  huā  yuuñ  jaatā  hai  dhartī  se  falak  kī  jānib
maah  o  saal  aate,  chale  jaate  haiñ
fasl  pak  jaatī  hai,  kaT  jaatī  hai
bhiiḌ  hai  bachchoñ  kī  chhoTī  sī  galī  meñ  dekho
ek  ne  geñd  jo  pheñkī  to  lagī  aa  ke  mujhe
titliyāñ  nāchtī  haiñ
phuul  se  phuul  pe  yuuñ  jaatī  haiñ