suno  ik  maze  kī  kahānī  suno
kahānī  hamārī  zabānī  suno
surayyā  kī  guḌiyā  thī  chhoTī  bahut
na  dublī  bahut  aur  na  moTī  bahut
jo  dekho  to  nannhī  sī  guḌiyā  thī  vo
magar  ik  sharārat  kī  puḌiyā  thī  vo
jo  sotī  to  din  raat  sotī  thī  vo
jo  rotī  to  din  raat  rotī  thī  vo
na  ammī  ke  saath  aur  na  bhayyā  ke  saath
vo  har  vaqt  rahtī  surayyā  ke  saath
surayyā  ne  ik  din  ye  us  se  kahā
mirī  nannhī  guḌiyā  yahāñ  baiTh  jā
bulāyā  hai  ammī  ne  aatī  huuñ  maiñ
khaTolī  meñ  tujh  ko  sulātī  huuñ  maiñ
vo  nādān  guḌiyā  ḳhafā  ho  ga.ī
vo  roī  vo  chillā.ī  aur  so  ga.ī
achānak  vahāñ  ik  parī  aa  ga.ī
khulī  aañkh  guḌiyā  kī  ghabrā  ga.ī
to  bolī  parī  muskurātī  huī
sunahrī  paroñ  ko  hilātī  huī
''idhar  aao  tum  mujh  se  bāteñ  karo
maiñ  nāzuk  parī  huuñ  na  mujh  se  Daro''
vo  guḌiyā  magar  aur  bhī  Dar  ga.ī
lagī  chīḳhne  ''hā.e  maiñ  mar  ga.ī
''mirī  pyārī  aapā  bachā  lo  mujhe
kisī  koTharī  meñ  chhupā  lo  mujhe''
surayyā  ne  aa  kar  uThāyā  use
uThā  kar  gale  se  lagāyā  use
gale  se  lagāte  hī  chup  ho  ga.ī
vo  chup  ho  ga.ī  aur  phir  so  ga.ī
surayyā  ko  dekhā  parī  uḌ  ga.ī
jidhar  se  thī  aa.ī  udhar  muḌ  ga.ī