Josh Malihabadi

apni malka-e-suKHan se

Josh Malihabadi

1898-1982
ai sham-e-'josh' o mash.al-e-aivān-e-ārzū
ai mehr-e-nāz o māh-e-shabistān-e-ārzū
dariyā kā moḌ naġhma-e-shīrīñ kā zer-o-bam
chādar shab-e-nujūm kī shabnam kā raḳht-e-nam
hotā hai mah-vashoñ kā vo aalam tire huzūr
jaise charāġh-e-murdā sar-e-bazm-e-sham-e-tūr
raftār hai ki chāñdnī rātoñ meñ mauj-e-gañg
yā bhairvīñ kī pichhle pahar qalb meñ umañg
āvāz meñ ye ras ye latāfat ye iztirār
jaise subuk mahīn ravāñ reshmī phuvār
jaadū hai terī saut kā gul par hazār par
jaise nasīm-e-sub.h kī rū jū-e-bār par
chashm-e-siyāh meñ vo talātum hai nuur kā
jaise sharāb-e-nāb meñ jauhar surūr kā
tujh se nazar milā.e ye kis kī bhalā majāl
tere qadam kā naqsh hasīnoñ ke ḳhadd-o-ḳhāl
chehre ko rañg-o-nūr kā tūfāñ kiye hue
sham-o-sharāb-o-sh.er kā unvāñ kiye hue
mere bayāñ meñ sehr-bayānī tujhī se hai
rū-e-suḳhan pe ḳhūn-e-javānī tujhī se hai
ai kirdgār ma.anī-e-ḳhallāq sher-e-tar
ai jān-e-zauq o muhsina-e-lailī-e-hunar
mere hunar meñ sarf huī hai tirī nazar
ḳhema hai mere naam kā bālā-e-bahr-o-bar
dil terī bazm-e-nāz meñ jab se hai bāryāb
har ḳhaar ek gul hai to har zarra āftāb
tere laboñ se chashma-e-haivāñ mirā kalām
terī laToñ se mauja-e-tūfāñ mirā kalām
ai māh-e-she.r-parvar o mehr-e-suḳhan-varī
ai āb-o-rañg-e-'hāfiz' o ai husn-e-'anvarī'
dur-hā-e-āb-dār o sharar-hā-e-dil-nashīñ
shab-hā-e-talḳh-o-tursh o sahar-hā-e-shakkarīñ
naġhme pale haiñ daulat-e-guftār se tirī
paayā hai nutq chashm-e-suḳhan-bār se tirī
ai lailī-e-nahufta o ai husn-e-sharmagīñ
tujh par nisār daulat-e-duniyā matā-e-dīñ
mere bayāñ meñ ye jo vafūr-e-surūr hai
tāq-e-suḳhan-varī meñ jo ye sham-e-tūr hai
mujh rind-husn-kār kī mai-ḳhvāriyāñ na pūchh
is ḳhvāb-e-jāñ-faroz kī bedāriyāñ na pūchh
hoshyār is liye huuñ ki mai-ḳhvār huuñ tirā
sayyād-e-sher huuñ ki giraftār huuñ tirā
maiñ vo huuñ jis ke ġham ne tire dil meñ raah kī
ik umr jis ke ishq meñ ḳhud tū ne aah kī
tarshe hue laboñ ke bahakte ḳhitāb se
zartār kākuloñ ke mahakte sahāb se
garmī se jis kī barf kā devtā Dare vo aag
sho.aloñ meñ os ko jo mubaddal kare vo aag
Top Urdushayar.com