Josh Malihabadi

waqt-e-murawwat

Josh Malihabadi

1898-1982
alassabāh ki thī kā.enāt sar-ba-sujūd
falak pe shor-e-azāñ thā zamīñ pe bāñg-e-durūd
bahār shabnam-āsūda thī ki rūh-e-ḳhalīl
faroġh-e-lāla-o-gul thā ki ātish-e-namrūd
jalā rahī thī havā bazm-e-jāñ meñ sham-e-tarab
miTā rahī thī sabā lauh-e-dil se naqsh-e-jumūd
guloñ ke rañg meñ thī shān-e-ḳhanda-e-yūsuf
kalī ke saaz meñ thā lutf-e-naġhma-e-dā.ūd
har ik jabīñ pe daraḳhshāñ thā nayyar-e-iqbāl
har ek farq pe tābāñ thā tāla-e-mas.ūd
fazā-e-charḳh meñ dauḌī huī thī rūh-e-zuhūr
bisāt-e-ḳhāk pe chhāyā huā thā rañg-e-numūd
hasīn ḳhvāb se chauñke the rasmasā.e hue
machal rahī thī havāoñ meñ bū-e-ambar-o-būd
ye rañg dekh kar aayā mujhe ḳhayāl-e-namāz
mirī namāz ki hai shāhid-o-sharāb-o-surūd
mirī namāz ki hai naġhma-e-huval-bāqī
mirī namāz ki hai nāra-e-huval-maujūd
mirī namāz ki hai ek sāz-e-lā-fānī
marī namāz ki hai ek soz-e-lā-mahdūd
mirī namāz ki hai diid rū-e-nā-shusta
mirī namāz ki hai tauf-e-husn-e-ḳhvāb-ālūd
mirī namāz ''nazar'' shaiḳh kī namāz ''alfāz''
yahāñ charāġh vahāñ sirf sham-e-kushta kā duud
yahāñ hai rishta-e-anfās meñ tarannum-e-dost
yahāñ latāfat-e-ehsās se ziyāñ hai na suud
fuġhāñ ki ''jumbish-e-a.azā'' vahāñ asās-e-namāz
ḳhoshā ki larzish-e-dil hai yahāñ qayām o qu.uud
kisī maqām pe hāsil nahīñ qarār mujhe
sahar ko huuñ jo barahman to shaam ko mahmūd
ġharaz ki aate hī vaqt-e-sahar ḳhayāl-e-namāz
jabīñ thī pā-e-sanam par zabāñ pe ''yā-ma.abūd!''
tamām rāz-e-nihāñ khul ga.e mire dil par
ze-takiya-gāh-e-adam tā-ba-kārgāh-e-vajūd
sar-e-niyāz se zāhir huā tabassum-e-nāz
butūn-e-ḳhāk se paidā huā dur-e-maqsūd
uThā ke phir sar-e-pur-shauq pā-e-jānāñ se
kahā ye maiñ ne ki ai sarv-e-bostān-e-vajūd
biyā biyā ki tirā tañg dar kanār kushem
ze-bosa-mehr-kunam bar-lab-e-shakar-ālūd
mire laboñ ko bhī de ruḳhsat-e-tarāna-e-hamd
har ek zarra hai is vaqt āshnā-e-durūd
ye sun ke sharm se koī javāb ban na paḌā
jhukī nigāh-e-jabīñ ho ga.ī araq-ālūd
hayā ne baḌh ke pukārā ye ''kāhisheñ be-kār''
nazar ne jhuk ke sadā dī ye ''kāvisheñ be-sūd''
''dahān-e-yār ki darmān-e-dard-e-'hāfiz' dāsht
fuġhāñ ki vaqt-e-muravvat che tañg hausla būd''
Top Urdushayar.com