resha  resha  giit  kā  goTā  har  ik  añg  meñ  raqs
saañs  ke  bhītar  koyal  bole  panchhī  jaisā  shaḳhs
uñglī  ke  chhalle  meñ  raaj  kamal  ke  gore  pañkh
haa.e  re  morī  piit  nigoḌī  haa.e  re  more  pañkh
gāloñ  par  ġhāze  ke  pīchhe  dard  ke  sūkhe  phuul
lachkīlī  bāñhoñ  kī  shāḳhoñ  par  nafrat  kī  dhuul
Thumrī  ke  boloñ  meñ  pinhāñ  aklāpe  kā  bain
din  āñkhoñ  meñ  kaT  jaatā  hai  kaise  kaTe  ye  rain
qaus-e-quzah  se  pairāhan  meñ  sundar  sundar  jism
hoñToñ  kī  phislan  par  girtā  paḌtā  korā  ism
kaalī  kaalī  qismat  un  kī  niile  piile  ḳhvāb
itne  rañgoñ  meñ  apnī  pahchān  bhī  ek  azaab