Zia Jalandhari

hum

Zia Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1923-2012
1
bichhī huī hai bisāt kab se
bisāt be-jumbish aur be-his hai
apne mohroñ se lā-ta.alluq hai
vajūd hādis vajūd mohre

bisāt-e-sākit kī vus.atoñ meñ
zamīn ahl-e-zamīn aflāk ahl-e-aflāk
bisāt par jo bhī hai
vo hone kī mohlatoñ meñ asiir
jahāñ pahāḌoñ ke āsmāñ-bos silsile haiñ
vahāñ kabhī bahr maujzan the
ham aise mohre
jinheñ irāde diye ga.e haiñ
jo hai jo ab tak huā hai jo ho rahā hai
us se kise mafar hai
nahīf sho.ala jamāl koñpal
jo dast-e-nāzuk kī narm poroñ se dhīre dhīre
vo be-ḳhabar hai
ki shātir-e-vaqt kī nazar meñ
falak se anvār
koh se chashme
tumhārī āñkhoñ kī muskurāhaT meñ
merī chāhat kī raushnī hai
vidā.a ke vaqt āñsuoñ meñ
vo saare manzar jhalak rahe haiñ
nahīñ mujhe is tarah na dekho
ki jaise nazroñ meñ ruuh tak umDī aa rahī ho
havā.eñ masmūm ho chukī haiñ
shajar phaloñ se lade haiñ lekin
vo der se intizār-gah meñ
har aane vaale ko nazroñ nazroñ meñ nāptī thī
vo shaam ke vaqt ḳhuuñ meñ lat-pat
saḌak ke kināre paḌā huā thā
ye naġhma-e-kā.enāt kī be-surī sadā.eñ haiñ
koī in se najāt kā rāsta batāo
bisāt-e-sākit se koī shikva
na shātir-e-vaqt se gila hai
ajab tazādāt kā muraqqa.a hai aadmī bhī
vo ahrman bhī hai aur yazdāñ-jamāl bhī hai
zamīn pe qābīl ke qabīle kī rasm-e-be-dād auj par hai
magar hamārā azaab is se bhī talḳh-tar hai
hamāre ḳhvāboñ se Dar rahe haiñ
vo Dar rahe haiñ ki ḳhvāb alfāz meñ Dhale to
ham aise mohre
jinheñ irāde diye ga.e haiñ
hameñ shikasteñ huiiñ magar har shikast mahmez ho ga.ī hai
hamāre sāthī gire pa raftār aur kuchh tez ho ga.ī hai
Top Urdushayar.com