1
bichhī  huī  hai  bisāt  kab  se
bisāt  be-jumbish  aur  be-his  hai
apne  mohroñ  se  lā-ta.alluq  hai
vajūd  hādis  vajūd  mohre
bisāt-e-sākit  kī  vus.atoñ  meñ
zamīn  ahl-e-zamīn  aflāk  ahl-e-aflāk
bisāt  par  jo  bhī  hai
vo  hone  kī  mohlatoñ  meñ  asiir
jahāñ  pahāḌoñ  ke  āsmāñ-bos  silsile  haiñ
vahāñ  kabhī  bahr  maujzan  the
ham  aise  mohre
jinheñ  irāde  diye  ga.e  haiñ
jo  hai  jo  ab  tak  huā  hai  jo  ho  rahā  hai
us  se  kise  mafar  hai
nahīf  sho.ala  jamāl  koñpal
jo  dast-e-nāzuk  kī  narm  poroñ  se  dhīre  dhīre
vo  be-ḳhabar  hai
ki  shātir-e-vaqt  kī  nazar  meñ
falak  se  anvār
koh  se  chashme
tumhārī  āñkhoñ  kī  muskurāhaT  meñ
merī  chāhat  kī  raushnī  hai
vidā.a  ke  vaqt  āñsuoñ  meñ
vo  saare  manzar  jhalak  rahe  haiñ
nahīñ  mujhe  is  tarah  na  dekho
ki  jaise  nazroñ  meñ  ruuh  tak  umDī  aa  rahī  ho
havā.eñ  masmūm  ho  chukī  haiñ
shajar  phaloñ  se  lade  haiñ  lekin
vo  der  se  intizār-gah  meñ
har  aane  vaale  ko  nazroñ  nazroñ  meñ  nāptī  thī
vo  shaam  ke  vaqt  ḳhuuñ  meñ  lat-pat
saḌak  ke  kināre  paḌā  huā  thā
ye  naġhma-e-kā.enāt  kī  be-surī  sadā.eñ  haiñ
koī  in  se  najāt  kā  rāsta  batāo
bisāt-e-sākit  se  koī  shikva
na  shātir-e-vaqt  se  gila  hai
ajab  tazādāt  kā  muraqqa.a  hai  aadmī  bhī
vo  ahrman  bhī  hai  aur  yazdāñ-jamāl  bhī  hai
zamīn  pe  qābīl  ke  qabīle  kī  rasm-e-be-dād  auj  par  hai
magar  hamārā  azaab  is  se  bhī  talḳh-tar  hai
hamāre  ḳhvāboñ  se  Dar  rahe  haiñ
vo  Dar  rahe  haiñ  ki  ḳhvāb  alfāz  meñ  Dhale  to
ham  aise  mohre
jinheñ  irāde  diye  ga.e  haiñ
hameñ  shikasteñ  huiiñ  magar  har  shikast  mahmez  ho  ga.ī  hai
hamāre  sāthī  gire  pa  raftār  aur  kuchh  tez  ho  ga.ī  hai