karachi  kisī  dev-qad  kekḌe  kī  tarah
samundar  ke  sāhil  pe  paañv  pasāre  paḌā  hai
naseñ  us  kī  faulād-o-āhan
badan  ret  cement  patthar
shaam  hote  hī  is  kī  nam-ālūd  aur  khurdurī  khaal  se
is  ke  be-Dhañg  a.azā  se
ye  vo  shahr-e-ḳhud-mutma.in  hai
jo  apne  hī  dil  kī  shaqāvat  pe  shaidā  rahā
maiñ  chāhat  ke  phūloñ  bhare  jañgaloñ  se  jab  aayā
to  is  shahr  kī  piiTh
maiñ  shiddat  kī  tanhā.ī  meñ
āshnā  harf  kā  ārzū-mand
ka.ī  baar  maiñ  ne  samundar  kī  bhīgī  havāoñ  se  pūchhā
ki  ai  ḳhush-nafas  rahravo
pa  vo  shahr  kī  saañs  meñ
enginoñ  ke  dhueñ  kī  kasāfat  se  afsurda
aur  ab  jab  maiñ  is  shahr  se  jā  rahā  huuñ
to  is  kī  darāñtī  sī  bāñhoñ  ke  dandāne