vaqt  kātib  hai  to  mistar  chehre
jab  se  tahrīr-shanāsī  mirī  taqdīr  huī
aur  imroz  kā  ā.īna  ye  kahtā  hai  ki  dekh
ādmī-zāde  tirī  umar  kī  shaam  aa  pahuñchī
lafz  zanjīr  huā
ḳhauf-e-darbāñ  hai  tazabzub  zindāñ
zindagī  jabr-e-musalsal  ke  sabab
sar-nigūñ  sāyoñ  kā  sahrā-e-sukūt
vo  bhī  the  jo  inhīñ  dushvār  guzargāhoñ  se
mish.al-e-harf  liye  parcham-e-himmat  thāme
maiñ  yahāñ  sard  salāḳhoñ  se  lagā  taktā  huuñ
is  bayābāñ  meñ  bhī  kuchh  ḳhvāboñ  ke  rasiyā  chehre
Dar  rahā  huuñ  ki  agar  jaañ  se  na  guzre
to  tazabzub  ke  siyah  zindāñ  meñ