ye  na.ī  hai  gardish-e-charḳh-e-kuhan
dushman-e-jāñ  hai  jafā-e-dil-shikan
pahle  mahshar  se  qayāmat  aa  ga.ī
hashr  ke  sar  par  musībat  aa  ga.ī
luT  gayā  asbāb  chhoḌā  sab  ne  ghar
ab  hai  sahrā-e-musībat  kā  safar
muflisī  kī  har  taraf  ab  hai  pukār
maal  ko  rote  haiñ  apne  māl-dār
paañv  meñ  juutī  na  sar  par  hai  kulāh
tan  hai  uryāñ  saarī  ḳhilqat  hai  tabāh
hai  qayāmat  kā  namūna  dekh  lo
kuchh  na  beTe  kī  ḳhabar  hai  baap  ko
farsh-e-gul  kī  jā  hai  bistar  ḳhaar  kā
rañg  faq  hai  har  jigar-afgār  kā
ḳhvāb-hā-e-aish  ko  kyā  ho  gayā
ye  hī  afsāna  hai  kyā  thā  kyā  huā
āh-bar-lab  chashm-e-pur-nam  zard  rau
hai  pareshānī  qayāmat  mū-ba-mū
shahar  thā  ye  sānī-e-ḳhuld-barīñ
is  chaman  ke  gul  hue  sahrā-nashīñ