thā  kabhī  ilm  aadmī  dil  aadmī  pyaar  aadmī
āj-kal  zar  aadmī  qasr  aadmī  car  aadmī
kulbulātī  bastiyāñ  mushkil  se  do-chār  aadmī
kitnā  kamyāb  aadmī  hai  kitnā  bisyār  aadmī
patlī  gardan  patle  abrū  patle  lab  patlī  kamar
jitnā  bīmār  aadmī  itnā  trahdār  aadmī
zindagī  nīche  kahīñ  muñh  dekhtī  hī  rah  ga.ī
kitnā  ūñchā  le  gayā  jiine  kā  me.aar  aadmī
umr  bhar  sahrā-navardī  kī  magar  shādī  na  kī
qais  dīvāna  bhī  thā  kitnā  samajhdār  aadmī
dānish-o-hikmat  kī  saarī  raushnī  ke  bāvajūd
kam  hī  miltā  hai  zamāne  meñ  kam-āzār  aadmī
dil  raheñ  haiñ  sauma-e-dastār  rehn-e-mai-kada
thā  zamīr  'ja.afarī'  bhī  ik  mazedār  aadmī
pahle  kashtī  Duub  jaatī  thī  nazar  ke  sāmne
ab  giregā  bahr-e-oqiyānnūs  ke  baar  aadmī