Syed Zameer Jafri

id ka mela

Syed Zameer Jafri

Jhelum, Punjab, Pakistan

1916-1999
lo iid aa.ī lo do puliye maidān meñ bhar bāzār lagā
har chāhat kā sāmān huā har ne.amat kā ambār lagā
markaz rañgīñ ra.anā.ī kā chiknā tambū halvā.ī kā
ziina ziina zīnat se dharā hai thaal pe thaal miThā.ī kā
dhuñdle tarpālī mañDve meñ nāTak nauTañkī aa.ī hai
naubat naqqārā sārañgī Dholak jhāñjan shahnā.ī hai
ik circus TeḌhā-meḌhā sā anjām to kyā āġhāz nahīñ
us rīchh ke muñh meñ daañt nahīñ is baaz kī āñkheñ baaz nahīñ
pagDanDī jagmag manDī hai bāñsoñ par tambū taane haiñ
kuchh na.e navele hotel haiñ kuchh restaurant purāne haiñ
kyā kūcha-o-dar kyā koh-o-daman gul-barg haiñ sab gulnār haiñ sab
ḳhushbū meñ base gulzār haiñ sab rañgoñ se bhare bāzār haiñ sab
lo ik jī-dār bisātī ne har chiiz lagā dī chaar aane
kañghī jāpānī chaar aane shīsha baġhdādī chaar aane
bachche baale gabrū būḌhe ḳhush-vaqt hue ḳhush-hāl hue
jhūloñ meñ jhuul ke phuul bane fōtbāl bane bhauñchāl hue
Top Urdushayar.com