lo  iid  aa.ī  lo  do  puliye  maidān  meñ  bhar  bāzār  lagā
har  chāhat  kā  sāmān  huā  har  ne.amat  kā  ambār  lagā
markaz  rañgīñ  ra.anā.ī  kā  chiknā  tambū  halvā.ī  kā
ziina  ziina  zīnat  se  dharā  hai  thaal  pe  thaal  miThā.ī  kā
dhuñdle  tarpālī  mañDve  meñ  nāTak  nauTañkī  aa.ī  hai
naubat  naqqārā  sārañgī  Dholak  jhāñjan  shahnā.ī  hai
ik  circus  TeḌhā-meḌhā  sā  anjām  to  kyā  āġhāz  nahīñ
us  rīchh  ke  muñh  meñ  daañt  nahīñ  is  baaz  kī  āñkheñ  baaz  nahīñ
pagDanDī  jagmag  manDī  hai  bāñsoñ  par  tambū  taane  haiñ
kuchh  na.e  navele  hotel  haiñ  kuchh  restaurant  purāne  haiñ
kyā  kūcha-o-dar  kyā  koh-o-daman  gul-barg  haiñ  sab  gulnār  haiñ  sab
ḳhushbū  meñ  base  gulzār  haiñ  sab  rañgoñ  se  bhare  bāzār  haiñ  sab
lo  ik  jī-dār  bisātī  ne  har  chiiz  lagā  dī  chaar  aane
kañghī  jāpānī  chaar  aane  shīsha  baġhdādī  chaar  aane
bachche  baale  gabrū  būḌhe  ḳhush-vaqt  hue  ḳhush-hāl  hue
jhūloñ  meñ  jhuul  ke  phuul  bane  fōtbāl  bane  bhauñchāl  hue