uf  ye  shabnam  se  chhalakte  hue  phūloñ  ke  ayāġh
is  chaman  meñ  haiñ  abhī  dīda-e-pur-nam  kitne
kitne  ġhunche  haiñ  jigar-chāk  gulistāñ  meñ  abhī
har  taraf  zaḳhm  haiñ  be-minnat-e-marham  kitne
kitne  sīnoñ  meñ  shikasta  haiñ  abhī  dil  ke  rabāb
lab-e-ḳhāmosh  pe  haiñ  naġhma-e-mātam  kitne
kitne  māthoñ  ke  abhī  sard  haiñ  rañgīn  gulāb
gard  afshāñ  haiñ  abhī  gesu-e-pur-ḳham  kitne
zehn-e-ādam  meñ  hai  afkār  kī  duniyā  ābād
qalb-e-insāñ  meñ  amānat  haiñ  abhī  ġham  kitne
dhuñdle  dhuñdle  se  sitāre  haiñ  ufuq  par  larzāñ
zindagānī  ke  hasīñ  ḳhvāb  haiñ  mub.ham  kitne
aaj  to  kākul-e-gītī  na  sañvar  jā.egī
silsile  shauq  ke  hoñge  abhī  barham  kitne
jazb  hoñge  abhī  is  ḳhāk-e-chaman  meñ  ai  dost
ashk  ban  ban  ke  guhar-reza-e-shabnam  kitne
abhī  gūñjeñge  salāsil  kī  sadā.eñ  kitnī
aur  hoñge  abhī  zanjīr  se  mātam  kitne
zindagī  rāh-e-tasādum  meñ  bhaTaktī  hai  abhī
vaqt  ke  lab  pe  abhī  uzr  haiñ  paiham  kitne
ik  zarā  sabr  ki  in  surḳh  ghaTāoñ  ke  tale
sar-nigūñ  hoñge  yahāñ  ḳhaak  pe  parcham  kitne
lāla-o-gul  ke  tabassum  se  shafaq  phūlegī
har  taraf  rañg  nazar  ā.eñge  bāham  kitne
ḳhūn-e-dil  meñ  hai  nihāñ  shola-e-sad-rañg-e-bahār
is  gulistāñ  meñ  haiñ  is  raaz  ke  mahram  kitne
inhī  zarroñ  se  ubhar  ā.eñge  kitne  mah-o-mehr
isī  aalam  se  sañvar  jā.eñge  aalam  kitne