tamtamā.e  hue  aariz  pe  ye  ashkoñ  kī  qatār
mujh  se  is  darja  ḳhafā  aap  se  itnī  bezār
mujh  ko  ik  lamha  kabhī  chain  bhī  aayā  tujh  bin
ishq  hī  ek  haqīqat  to  nahīñ  hai  lekin
soch  duniyā  se  alag  bhaag  ke  jā.eñge  kahāñ
apnī  jannat  bhī  basā.eñ  to  basā.eñge  kahāñ
phir  zamāne  se  nigāhoñ  kā  churānā  kaisā
ishq  kī  zid  meñ  farā.ez  ko  bhulānā  kaisā
tīr-e-iflās  se  kitnoñ  ke  kaleje  haiñ  figār
kitne  sīnoñ  meñ  hai  ghuTtī  huī  aahoñ  kā  ġhubār
ik  nazar  bhuul  ke  us  samt  bhī  dekhā  hotā
kuchh  mohabbat  ke  sivā  aur  bhī  sochā  hotā
rañj-e-ġhurbat  ke  sivā  jabr  ke  pahlū  bhī  to  haiñ
jo  Tapakte  nahīñ  āñkhoñ  se  vo  aañsū  bhī  to  haiñ
ḳhaak  aur  ḳhuun  meñ  ġhaltāñ  haiñ  nazāre  kitne
qalb-e-insāñ  meñ  dahakte  haiñ  sharāre  kitne
arsa-e-dahr  pe  sarmāya  o  mehnat  kī  ye  jañg
amn  o  tahzīb  ke  ruḳhsār  se  uḌtā  huā  rañg
qalb-e-ādam  ke  ye  riste  hue  kohna  nāsūr
apne  ehsās  se  hai  fitrat-e-insāñ  majbūr
aap  ko  band  ġhulāmī  se  chhuḌānā  hai  hameñ
ḳhud  mohabbat  ko  bhī  āzād  banānā  hai  hameñ
tū  bhī  aa  vaqt  ke  siine  meñ  sharārā  ban  jā
tū  bhī  ab  arsh-e-baġhāvat  kā  sitārā  ban  jā