kitne  din  meñ  aa.e  ho  sāthī
mere  sote  bhaag  jagāne
dekho  kitne  thak  se  ga.e  ho
kitnī  thakan  āñkhoñ  meñ  ghulī  hai
chup  ho  kyūñ?  kyā  soch  rahe  ho
aao  sab  kuchh  aaj  bhulā  do
bolo  sāthī  kuchh  to  bolo
kab  tak  āḳhir  aah  bharūñgī
aao  maiñ  tum  se  ruuTh  sī  jā.ūñ
aao  mujhe  tum  hañs  ke  manā  lo
tum  ko  merā  ġham  hai  sāthī
kaise  ab  is  ġham  ko  bhulā.ūñ
ye  na  samajhnā  mere  sājan
de  na  sakī  maiñ  saath  tumhārā
ye  na  samajhnā  maiñ  ne  tum  se
jaan  ke  yuuñ  muñh  moḌ  liyā  hai
ye  na  samajhnā  tum  se  maiñ  ne
aaj  kiyā  hai  koī  bahānā
aaj  bhī  sājan  maiñ  huuñ  tumhārī
aaj  bhī  tum  ho  mere  apne
dil  kī  dhaḌkan  Duub  bhī  jaa.e
dil  kī  sadā.eñ  thak  na  sakeñgī
ye  to  pūchho  mujh  se  chhuT  kar
tere  dil  par  kyā  kyā  guzrī
ek  tumhārā  pyaar  bachā  hai
varna  sab  kuchh  luT  sā  gayā  hai
aaj  tumhārā  rasta  takte
maiñ  ne  puurā  saal  bitāyā
tum  bin  saare  mausam  biite
aa.e  jhoñke  sard  havā  ke
sāvan  aayā  dhuum  machātā
ghir-ghir  kaale  bādal  chhā.e
chāñd  se  jab  bhī  bādal  guzrā
dil  se  guzrā  aks  tumhārā
aa.iiñ  bahāreñ  mujh  ko  manāne
tum  bin  maiñ  to  muñh  na  bolī
kitnī  nikhrī  sub.heñ  guzrīñ
kitnī  mahkī  shāmeñ  chhā.īñ
itnī  muddat  ba.ad  to  pirītam
aaj  kalī  hirdai  kī  khilī  hai
bolo  sāthī  kuchh  to  bolo
kuchh  to  dil  kī  baat  batāo
aao  maiñ  tum  ko  bahlā  lūñgī
baiTh  to  jaao  mere  sahāre
achchhā  merā  ġham  na  bhulāo
merā  ġham  har  ġham  meñ  samolo
mere  ġham  ko  mere  shā.er
apne  javāñ  gītoñ  meñ  rachā  lo
mere  ġham  kī  aañch  se  sāthī
chauñk  uThegā  azm  tumhārā
maiñ  jo  tumhāre  saath  nahīñ  huuñ
dil  ko  mat  māyūs  karo  tum
aaj  hamāre  lākhoñ  sāthī
sāthī  himmat  haar  na  jaao
achchhā  ab  to  hañs  do  sāthī
varna  dekho  ro  sī  paḌūñgī
jaag  uThī  lo  duniyā  merī
aa.ī  hañsī  vo  lab  pe  tumhāre
jhilmil  jhilmil  kirneñ  aa.iiñ
mujh  ko  chandan-hār  pahnāne
aa.iiñ  havā.eñ  jhāñjh  bajātī
gītoñ  morā  añgnā  jaagā
jaag  uThā  hai  saarā  aalam
jaag  uThī  hai  raat  milan  kī
aao  jaatī  raat  hai  sāthī
pyaar  tumhārā  dil  meñ  bhar  luuñ
uTTho  sāthī  duur  ufuq  kā
narm  kinārā  kaañp  uThā  hai
dil  kī  dhaḌkan  Duub  ke  rah  jā
jaagī  nabzo  tham  sī  jaao
mere  ġham  kā  ġham  na  karo  tum
achchhā  ab  se  ġham  na  karūñgī
tum  ko  hañs  kar  ruḳhsat  kar  duuñ
sab  kuchh  maiñ  ne  hañs  ke  sahā  hai
dekho!  kitne  kaam  paḌe  haiñ
achchhā  ab  mat  der  karo  tum
bolo  tum  ko  kaise  rokūñ
duniyā  sau  ilzām  dharegī
aao  maiñ  uljhe  baal  svārūñ
mujh  se  koī  kaam  to  le  lo
achchhā  sāthī!  jaao  sidhāro
ab  kī  itne  din  na  lagānā
lekin  Thahro  Thahro  sāthī
dil  ko  zarā  tayyār  to  kar  luuñ