tum  mirī  zindagī  meñ  aa.ī  ho
merā  ik  paañv  jab  rikāb  meñ  hai
maiñ  sochtā  thā  ki  tum  aaogī  tumheñ  pā  kar
maiñ  is  jahān  ke  dukh-dard  bhuul  jā.ūñgā
tum  ek  bel  kī  mānind  baḌhtī  jāogī
na  chhū  sakeñgī  havādis  kī  āñdhiyāñ  tum  ko
magar  maiñ  aaj  bahut  duur  jaane  vaalā  huuñ
bas  aur  chand  nafas  ko  tumhāre  paas  huuñ  maiñ
vo  vaqt  kabhī  to  aa.egā  jab  dil  ke  chaman  lahrā.eñge
mar  jā.ūñ  to  kyā  marne  se  mire  ye  ḳhvāb  nahīñ  mar  jā.eñge
jiine  kī  har  tarah  se  tamannā  hasīn  hai
har  shar  ke  bāvajūd  ye  duniyā  hasīn  hai
chaman  se  chand  hī  kāñTe  maiñ  chun  sakā  lekin
baḌī  hai  baat  jo  tum  rañg-e-gul  nikhār  sako
safar  hayāt  kā  āsān  ho  hī  jaatā  hai
agar  ho  dil  ko  sahārā  kisī  kī  chāhat  kā
tumheñ  kal  apne  sharīk-e-safar  ko  chunñā  hai
vo  jis  se  tum  ko  mohabbat  mile  rifāqat  bhī
kabhī  ye  gul  bhī  nazar  ko  fareb  dete  haiñ
har  ek  phuul  meñ  tam.īz-e-rañg-o-bū  rakhnā
tum  ek  aise  gharāne  kī  laaj  ho  jis  ne
har  ek  daur  ko  tahzīb  o  āgahī  dī  hai
ġham-e-hayāt  se  laḌte  guzār  dī  maiñ  ne
magar  ye  ġham  hai  tumheñ  kuchh  ḳhushī  na  de  paayā
ye  merī  nazm  mirā  pyaar  hai  tumhāre  liye
ye  sher  tum  ko  mirī  ruuh  kā  patā  deñge
ab  mire  paas  aur  vaqt  nahīñ
saañs  har  lahza  iztirāb  meñ  hai
jism-o-jāñ  kā  ye  aarzī  rishta
kitnā  miltā  huā  hubāb  meñ  hai
aao  āñkhoñ  meñ  Daal  do  āñkheñ
ruuh  ab  naza.a  ke  azaab  meñ  hai
raushnī  der  se  āñkhoñ  kī  bujhī  jaatī  hai
Thiik  se  kuchh  bhī  dikhā.ī  nahīñ  detā  mujh  ko
sirf  sannāTe  kī  āvāz  chalī  aatī  hai
aur  to  kuchh  bhī  sunā.ī  nahīñ  detā  mujh  ko
aao  us  chāñd  se  māthe  ko  zarā  chuum  to  luuñ
phir  na  hogā  tumheñ  ye  pyaar  nasīb  aa  jaao