tābish-e-ḳhurshīd  nūr-e-māh  paanī  kī  jhalak
ḳhanda-e-qulqul  sadā  koyal  kī  ġhunchoñ  kī  chaTak
larzish-e-sīmāb  bijlī  kī  taḌap  shāḳhoñ  kā  loch
aql  kī  tezī  tabī.at  kī  upach  shā.ir  kā  soch
iztirāb-e-mauj  kāñToñ  kī  ḳhalish  nāgan  ke  bal
tiir  kī  sur.at  kamāñ  kā  ijz  shamshīroñ  ke  phal
aab  motī  kī  chamak  kundan  kī  hiire  kī  damak
ashrafī  kā  ruup  Taksālī  mahāsil  kī  khanak
dāman-e-kohsār  ke  manzar  nava-e-ābshār
shor-e-dariyā  karvaTeñ  lahroñ  kī  sāhil  kā  qarār
zamzame  kā  itr  kaif-e-naġhma  lai  kī  puḳhtagī
shorish-e-mai,  laġhzish-e-mai-nosh,  josh-e-be-ḳhudī
āhu-e-ram-ḳhurda  kī  vahshat  ḳharāre  teziyāñ
gaa.e  kī  sanjīdgī  jugnū  kī  ātish-reziyāñ
vādī-e-kashmīr  kī  nuzhat  guloñ  kā  rañg-o-bū
sarv  kā  qad  kabk  kī  raftār  qamrī  kā  gulū
zulmat-e-shām-e-avadh  sub.h-e-banaras  kā  nikhār
aagre  ke  taaj  kī  azmat  himāla  kā  vaqār
somnātī  rif.ateñ  bhārat  kī  tahzīb-e-qadīm
pāTlī-putra  kī  shohrat  magdh  kī  shān-e-azīm
dil-pazīrī-e-azāñ  dildārī-e-nāqūs-e-dair
sehan-e-masjid  kā  taqaddus  partav-e-fānūs-e-dair
''harbhajan''  kā  faiz  husn-e-e'tiqād-e-barhaman
kumbh  ke  mele  kī  zīnat  vaq.at-e-gañg-o-jaman
barbat  o  chañg  o  surūd  o  arġhanūñ  ke  zer-o-bam
dil-kashī  pardoñ  kī  āvāzoñ  ke  jaadū  taal  sam
talḳhi-e-anjām  jab  sab  koshisheñ  nākām  hoñ
ḳhushnumā  seboñ  kī  halkī  turshiyāñ  jab  ḳhaam  hoñ
dekh  kar  ye  iqtibās-e-kār-gāh-e-ins-o-jāñ
kār-pardāzān-e-qudarat  meñ  huiiñ  sargoshiyāñ
ek  bolā  imtizāj  un  kā  qayāmat  saaz  hai
dūsrā  kahne  lagā  ḳhāmosh  koī  raaz  hai
ye  anāsir  ek  muddat  tak  rahe  garm-e-amal
āḳhirī  tahrīk-e-ismat  se  hue  aapas  meñ  hal
sub.h-dam  jab  gosha  gosha  matla-e-anvār  thā
zarra  zarra  ālam-e-nairañg  kā  sarshār  thā
is  murkkab  ko  usūlī  juñbisheñ  hone  lagīñ
ye  hayūlā  irtiqā.ī  manzileñ  tai  kar  gayā
shah-par-e-parvāz  iffat  se  bulandī  par  gayā
e'tidāl-e-unsurī  par  pā  liyā  jab  iqtidār
ain-fitrat  ke  mutābiq  shakl  kī  ik  iḳhtiyār
aa.ī  a.azā  meñ  gudāzī  aur  garmī  jism  meñ
aa.ī  ruḳhsāroñ  pe  surḳhī  aur  narmī  jism  meñ
pāya-e-takmīl  ko  pahuñchā  jūñhī  ye  shāhkār
dast-e-qudrat  ne  TaTolī  nabz  us  kī  baar  baar
bistar-e-nik.hat  pe  ye  putlī  jo  mahv-e-ḳhvāb  thī
mast  añgḌā.ī  ke  hāthoñ  jaag  uThī  sharmā  ga.ī
dekh  kar  shā.ir  ne  us  ko  nukta-e-hikmat  kahā
aur  be-soche  zamāne  ne  use  ''aurat''  kahā