ho  rahe  haiñ  raat  ke  diyoñ  ke  har  sū  ehtimām
sub.h  se  jalva-numā  hai  aaj  dīvālī  kī  shaam
jiit  meñ  har  shaḳhs  vo  nau-ḳhez  ho  yā  puḳhta-kār
haar  se  inkār  lab-hā-e-masarrat  par  nisār
ghī  tuḌā  kar  paas  vāloñ  kī  ḳhabar  letā  huā
char  se  shāloñ  par  Tapak  jaane  se  bū  detā  huā
halva-e-be-dūdh  kī  thāloñ  kā  bahr-e-be-karāñ
kashtiyāñ  bahtī  haiñ  yā  aa  jā  rahī  haiñ  mohriyāñ
kho  ga.ī  haiñ  kaam  ke  andar  kuñvārī  laḌkiyāñ
saath  vo  ham-joliyāñ  bhī  aa.ī  haiñ  jo  mehmāñ