khaT...  khaT...  kaun?  sabīha!  kaise?  yūñhī,  koī  kaam  nahīñ
pichhlī  raat..  bhyānak  garage..  kyā  kuchh  ho  anjām..  nahīñ
ham  haiñ  us  aḳhlāq  ke  pairav,  ham  haiñ  us  tahzīb  ke  log
jis  meñ  iffat  ik  ''mafrūza''  ismat  jis  meñ  '''zehnī  rog''
do  bachchoñ  ke  baap..  to  kyā  hai?  ''dil  kā  ho  insān  javān''
tum  bhī  aise  ban  jaao  nā  jaise  ''mañjhle  bhaa.ī  jān...''
un  se....  vo....  tahzīb  se  ūñchī,  chhoTe  bhaa.ī  se  vaqtī  chaah
shauhar  aa.e  na  aa.e  lekin  devar  kī  ''taktī  haiñ  rāh''
naukar  aur  namak  aur  mazhab...  in  tavīloñ  se  baaz  aao
mardoñ  kī  aisī  nekī  par  aa  jaatā  hai  mujh  ko  taav
hafta  bhar  meñ  ik  din  ''aisī  laġhzish''  koī  aib  nahīñ
zāhir  hai  paapā  mammy  ko  hāsil  ''ilm-e-ġhaib''  nahīñ
jaatī  huuñ,  ghabrāte  kyuuñ  ho?  kyā  añdhiyārī  ghor  nahīñ?
do  dil  raazī  ke  baare  meñ  qaazī  kā  kuchh  zor  nahīñ