Saeed Warsi

mohabbat

Saeed Warsi

vo phuul hai kaise maan luuñ maiñ
ki phuul kā rañg hai ramīda
ġhalat hai us ko bahār kahnā
bahār to hai ḳhizāñ-gazīda
vo kahkashāñ hai maiñ kaise kah duuñ
ki kahkashāñ to rahīn-e-shab hai
maiñ mutma.in chāñd se nahīñ huuñ
ki chāñd ko bhī davām kab hai
hai roz-e-raushan bhī tīra-qismat
ye raaz vaqt-e-ġhurūb jaanā
maiñ kaise sūraj samajh luuñ us ko
nasīb sūraj kā Duub jaanā
sabā se us ko misāl de duuñ
to ye jasārat-e-javāz chāhe
sabā to kaliyoñ ko zindagī de
chaman ke kāñToñ ko bhuul jaa.e
vo yuuñ nahīñ naġhma hasīñ bhī
ki naġhma naġhma-navāz tak hai
vo saaz hogā to kaise hogā
ki saaz tarkīb-e-sāz tak hai
jo raunaq-e-bazm pur-kashish thī
vo sub.h hote dhuāñ dhuāñ hai
yaqīñ hai vo sham.a bhī nahīñ hai
ki sham.a ik shab kī dāstāñ hai
agar kahūñ hai vo sabz patta
to dhyān meñ ḳhushk Daal aa.e
daraḳht kahnā fuzūl hogā
rutoñ kā mujh ko ḳhayāl aa.e
kahūñ use hai vo arsh-qudsī
to baat phir bhī bajā nahīñ hai
zamīn vāloñ kī dastaras meñ
farāz-e-arsh-e-ulā nahīñ hai
kahāñ ye qatra misāl-e-dariyā
kahāñ mirī manzil-e-talab hai
use samundar qarār detā
magar samundar to pur-ġhazab hai
use maiñ bādal kā naam detā
magar ye bādal hai kaisā bādal
tamām sahrā taras rahā hai
magar kahīñ aur barsā bādal
maiñ is ko Thahrā.ūñ rāz-e-pinhāñ
to zehn kī hai ye nā-rasā.ī
hazār fikr-o-nazar ne chāhā
samajh meñ phir bhī na baat aa.ī
agar kahūñ maiñ vo aadmī hai
to kam-nigāhī ke zaḳhm khā.ūñ
farishte aadam pe mo'tariz the
use farishta bhī kah na paañv
kahūñ maiñ insāñ bilā-tāmmul
magar hai insān kā to saaya
dayār-e-sidra kī manziloñ se
na koī insāñ guzar ke aayā
vo sāz-e-kirdār bhī haiñ kamtar
hai zikr jin kā kahāniyoñ meñ
kañval se us kī misāl kaisī
kañval tū khiltā hai pāniyoñ meñ
kitāb kah kar samajhnā chāhūñ
to aql ye baat bhī na maane
hikāyatoñ se dalīl lā.ūñ
to sochūñ qisse maiñ sab purāne
agar kahūñ hai vo lauh-o-kursī
to baat phir bhī nahīñ hai jachtī
maiñ jis se us ko misāl detā
koī to aisī misāl bachtī
kabhī kabhī yuuñ bhī sochtā huuñ
ḳhudā nahīñ par ḳhudā.ī us kī
kabhī kabhī yuuñ bhī sochtā huuñ
ye had nahīñ intihā.ī us kī
na us kā ham-sar na us kā saaya
vo nuur vaalā vo taaj vaalā
hai nabz-e-daurāñ pe haath us kā
vo kal kā mālik vo aaj vaalā
vo kaun hai us kī intihā kyā
ḳhudā hī samjhe ḳhudā hī jaane
ġharīb-o-ḳhasta magar usī ko
davā bhī samjhe duā hī jaane
murād jis kī hai jo bhī apnī
huzūr rabb-e-jalīl māñge
'sa.īd' lekin usī ko chāhūñ
jise duā-e-ḳhalīl māñge
Top Urdushayar.com