Nashtar Amrohvi

kasrat-e-aulad

Nashtar Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

kasrat-e-aulād se ham is qadar bezār haiñ
ab to begam se alag rahne ko bhī tayyār haiñ
ab ye aalam hai ki jas kamre meñ bhī Daalo nazar
ghar ke har kone meñ haiñ bikhre ho.e laḳht-e-jigar
apnī begam par hue shām-o-sahar ham yuuñ nisār
posTaroñ kī shakl meñ rassī pe laTkā hai vo pyaar
jis taraf bhī dekhiye aulād hī aulād hai
ḳhāna-ābādī ke ba.ad ab ḳhāna-e-barbād hai
sard aa.heñ dekh kar begam ko ham bharne lage
muskurā kar dekhne se in ke ham Darne lage
chiḌchiḌe kuchh is qadar ham ho rahe haiñ āj-kal
rakh kai ḳhanjar darmiyāñ meñ so rahe haiñ āj-kal
ḳhuun ke aañsū ham apne haal par rone lage
pahle single ho rahe the ab double hone lage
mujh ko ye Dar hai kabhī shaitān bahkāne lage
ham miyāñ-bīvī qarīb aane se katrāne lage
ham kisī taqrīb meñ hoñ yā kisī bārāt meñ
log Dar jaate haiñ bachche dekh kar hī saath meñ
dekh kar logoñ kā ġhussa kitne ghabrā.e the ham
apne bachchoñ kī jagah un ke uThā laa.e the ham
saas bhī ab to hameñ kuchh din ko bulvātī nahīñ
aur begam bhī binā bulvā.e ḳhud jaatī nahīñ
is daf.a phir jab vilādat kā huā thā silsila
aa ga.e ā.ankhoñ meñ aañsū maiñ ne ro kar yuuñ kahā
mere ghar meñ to bahut pahle hī se bhar-mār hai
aur tū duniyā meñ aane kai liye tayyār hai
Taal de apnī vilādat aur kuchh din ke liye
tū ne ham se kaun se badle ye gin gin ke liye
kyā kahūñ hālāt apne āj-kal aise nahīñ
ab to marne ke liye bhī jeb meñ paise nahīñ
koī bīmārī agar aa jaa.e to jaatī nahīñ
ḳharch ke Dar se hameñ to maut bhī aatī nahīñ
Top Urdushayar.com