ye  urūj-e-daulat-e-qaisarī  ye  shikoh-e-tāj-e-sikandarī
ki  yahāñ  to  ḳhūn-e-ġharīb  se  hai  tapish  meñ  nabz-e-tavañgarī
vahī  ḳhvājgī  vahī  khusravī  vahī  rañg-o-nasl  kī  bartarī
yahī  hai  tamaddun-e-maġhribī  koī  mujh  se  sun  le  kharī  kharī
jo  hai  tarz-e-bāda-kashāñ  yahī  jo  hai  mai-kade  kā  samāñ  yahī
ḳhum-o-shīsha  meñ  mai-e-lāla-gūñ  yūñhī  saḌ  rahegī  dharī  dharī
ye  zamāna  kaisā  badal  gayā  na  vo  valvale  na  vo  hausle
kisī  vaqt  the  jo  sanam-shikan  vo  haiñ  aaj  vaqf-e-sanam-girī
mire  dil  pe  barq  sī  gir  paḌī  ye  kahā  jo  murġh-e-asīr  ne
mire  āshiyāne  kī  shāḳh  bhī  kabhī  thī  chaman  meñ  harī-bharī
vahī  aah  asl  meñ  aah  hai  vahī  naala  asl  meñ  naala  hai
ki  idhar  jo  dil  se  nikal  paḌe  to  udhar  falak  meñ  ho  thartharī
ye  sitam-zarīfī-e-ahd-e-nau  bhī  hai  'najmī'  kitnī  ajiib  sī
ki  jo  gumrahī  meñ  hai  mubtalā  hai  usī  ko  da.avā-e-rahbarī