raushnī  kam  hai  na  kar  us  kī  shikāyat  hamdam
raushnī  kam  hī  rahe  to  achchhā
dasht-o-sahrā  ho  ki  bāġh-e-dabistāñ
sat.h-e-dariyā  ho  ki  chaTyal  maidān
shāh-rāhoñ  ke  nazāroñ  pe  na  jā
qumqumoñ  kī  nazar-afroz  qatāroñ  pe  na  jā
aa  zarā  moḌ  idhar  ko  bhī  nigāheñ  apnī
tīra-o-tār  hai  kitnī  ye  galī