Amjad Najmi

pech-o-tab

Amjad Najmi

phir tasavvur khā rihā hai pech-o-tāb
phir vahī haijān-o-harkat karb-o-dard-o-isztirāb
phir vahī dhuñdle nuqush-e-māh-o-sāl
phir vahī sub.h-e-bahārāñ phir vahī shām-e-visāl
phir vahī biite hue lamhoñ kī yaad
phir vahī maujeñ vahī kashtī vahī bād-e-murād
phir vahī raqs-e-sharār-e-zindagī
phir vahī husn-e-latāfat-rez kī tābindagī
phir vahī va.adoñ pe lutf-e-intizār
phir vahī chashm-e-suḳhan-go ke ishāre baar baar
phir vahī dard-e-musalsal kī kasak
phir vahī mauj-e-tabassum-hā-e-pinhāñ kī jhanak
phir vahī aish-o-tarab kā ehtimām
phir vahī bazm-e-tamannā phir vahī sāqī-o-jām
phir vahī āġhāz-e-ulfat kā surūr
phir vahī yādoñ ke saa.e zehn meñ nazdīk-o-dūr
phir vahī shorish vahī josh-o-ḳharosh
phir kahīñ dīvāngī taarī na ho ai dil ḳhamosh
Top Urdushayar.com