phir  tasavvur  khā  rihā  hai  pech-o-tāb
phir  vahī  haijān-o-harkat  karb-o-dard-o-isztirāb
phir  vahī  dhuñdle  nuqush-e-māh-o-sāl
phir  vahī  sub.h-e-bahārāñ  phir  vahī  shām-e-visāl
phir  vahī  biite  hue  lamhoñ  kī  yaad
phir  vahī  maujeñ  vahī  kashtī  vahī  bād-e-murād
phir  vahī  raqs-e-sharār-e-zindagī
phir  vahī  husn-e-latāfat-rez  kī  tābindagī
phir  vahī  va.adoñ  pe  lutf-e-intizār
phir  vahī  chashm-e-suḳhan-go  ke  ishāre  baar  baar
phir  vahī  dard-e-musalsal  kī  kasak
phir  vahī  mauj-e-tabassum-hā-e-pinhāñ  kī  jhanak
phir  vahī  aish-o-tarab  kā  ehtimām
phir  vahī  bazm-e-tamannā  phir  vahī  sāqī-o-jām
phir  vahī  āġhāz-e-ulfat  kā  surūr
phir  vahī  yādoñ  ke  saa.e  zehn  meñ  nazdīk-o-dūr
phir  vahī  shorish  vahī  josh-o-ḳharosh
phir  kahīñ  dīvāngī  taarī  na  ho  ai  dil  ḳhamosh