ye  kaun  kahtā  hai  insāñ  kā  kārvān-e-hayāt
palaT  ke  aane  ko  hai  be-gunāhī  kī  jānib
vahī  gunāh  vahī  ma.asiyat  vahī  badbū
vahī  hai  dard  vahī  karvaTeñ  vahī  pahlū
ye  kaun  kahtā  hai  insāñ  kā  kārvān-e-hayāt
palaT  ke  aane  ko  hai  be-gunāhī  kī  jānib
siyāhī  jaise  samundar  kī  thaah  meñ  pinhāñ
siyāhī  jaise  ḳham-e-dūd-e-āh  meñ  pinhāñ
maiñ  dekhtā  huuñ  ki  insāñ  kā  kārvān-e-hayāt
ujālā  chhoḌ  chalā  hai  siyāhī  kī  jānib
tabāhī  jis  meñ  jahannam  kā  ġhaar  poshīda
tabāhī  jis  meñ  hai  har  fard  zahar-noshīda
maiñ  jāntā  huuñ  ki  insāñ  kā  kārvān-e-hayāt
ravāñ-davāñ  to  hai  lekin  tabāhī  kī  jānib