Jaun Eliya

chaara-gar bhi jo yun guzar jaen

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
chāra-gar bhī jo yuuñ guzar jaa.eñ
chāra-gar bhī jo yuuñ guzar jaa.eñ
aaj kā ġham baḌī qayāmat hai
aaj sab naqsh-e-ġham ubhar jaa.eñ
hai bahāroñ kī ruuh sog-nashīñ
saare aurāq-e-gul bikhar jaa.eñ
nāz-parvarda be-navā majbūr
jaane vaale ye sab kidhar jaa.eñ
kal kā din haa.e kal kā din ai 'jaun'
kaash is raat ham bhī mar jaa.eñ
hai shab-e-mātam-e-masīhā.ī
ashk dāman meñ tā-sahar jaa.eñ
marne vaale tire janāze meñ
kyā faqat ham ba-chashm-tar jaa.eñ
kaash dil ḳhuun ho ke bah jaa.e
kaash āñkheñ lahū meñ bhar jaa.eñ
Top Urdushayar.com