chāra-gar  bhī  jo  yuuñ  guzar  jaa.eñ
chāra-gar  bhī  jo  yuuñ  guzar  jaa.eñ
aaj  kā  ġham  baḌī  qayāmat  hai
aaj  sab  naqsh-e-ġham  ubhar  jaa.eñ
hai  bahāroñ  kī  ruuh  sog-nashīñ
saare  aurāq-e-gul  bikhar  jaa.eñ
nāz-parvarda  be-navā  majbūr
jaane  vaale  ye  sab  kidhar  jaa.eñ
kal  kā  din  haa.e  kal  kā  din  ai  'jaun'
kaash  is  raat  ham  bhī  mar  jaa.eñ
hai  shab-e-mātam-e-masīhā.ī
ashk  dāman  meñ  tā-sahar  jaa.eñ
marne  vaale  tire  janāze  meñ
kyā  faqat  ham  ba-chashm-tar  jaa.eñ
kaash  dil  ḳhuun  ho  ke  bah  jaa.e
kaash  āñkheñ  lahū  meñ  bhar  jaa.eñ