dasht-e-viġha  meñ  nūr-e-ḳhudā  kā  zuhūr  hai
dasht-e-viġhā  meñ  nūr-e-ḳhudā  kā  zuhūr  hai
hairāñ  zamīñ  ke  nuur  se  hai  charḳh-e-lājvard
mānind-e-kahrubā  hai  ruḳh-e-āftāb-e-zard
hai  āb-e-nahr  sūrat-e-ā.īna  jalva-gar
tābāñ  hai  misl-e-chashma-e-ḳhurshīd  har  bhañvar
partav-fagan  huā  jo  ruḳh-e-qibla-e-anām
mash.hūr  ho  ga.ī  vo  zamīñ  arsh-ehtishām
phailā  jo  nūr-e-mahr-e-imāmat  dam-e-zavāl
zarroñ  se  vaañ  ke  aañkh  milānā  huā  muhāl
ġhul  thā  zahe  husain  kī  shaukat  zahe  vaqār
goyā  khaḌe  haiñ  jañg  ko  mahbūb-e-kirdgār
ye  rū-e-raushan  aur  ye  gesu-e-mushk-e-fām
yaañ  shaam  meñ  to  sub.h  hai  aur  sub.h  meñ  hai  shaam
qurbāñ  kamān-e-abrū-e-maulā  pe  jaan  o  dil
gar  māh-e-nau  kaheñ  to  hai  tashbīh  mubtazil
ruḳhsār  haiñ  ziyā  meñ  qamar  se  ziyāda-tar
jin  par  Thahar  sakī  na  kabhī  shams  kī  nazar
kis  muñh  se  kījiye  lab-e-jān-baḳhsh  kā  bayāñ
chūsī  jinhoñ  ne  ahmad  muḳhtār  kī  zabāñ
sham-e-harīm-e-lam-yazalī  thā  gulū-e-shāh
tārīk  shab  meñ  jaise  huvaidā  ho  nūr-e-māh
manzūr  yaañ  thī  mad.h-e-gulū-e-shah-e-umam
yaad  aa  ga.ī  magar  ye  hadīs-e-ġham-o-alam
thā  jo  sutūñ  ki  rukn-e-risālat  kā  takiya-gāh
kursī  bhī  us  kī  pusht  kī  thī  DhūñDhtī  panāh
as.hāb-e-ḳhās  gird  the  anjum  kī  tarah  sab
tābāñ  thā  biich  meñ  vo  mah-e-hāshmī-laqab
gesū  the  vo  mufassir-e-vallail-izā-sajā
ruḳh  se  ayaañ  the  ma.anī-e-vashshams-o-va-zzuhā
pahlū  meñ  bādshāh  ke  thā  jalva-gar  vazīr
sardār-e-dīñ  alī-e-valī  ḳhalq  kā  amiir
masrūf-e-vāz-o-pand  the  sultān-e-mashriqain
jo  ghar  se  nikle  khelte  zohrā  ke  nuur  ain
vo  gore  gore  chehroñ  pe  zulfeñ  idhar  udhar
aḳhtar  se  vo  chamakte  hue  kaan  ke  guhar
masjid  meñ  aa.e  hañste  hue  jab  vo  gul-badan
ḳhushbū  se  sehan-e-masjid-e-jāme  banā  chaman
beToñ  ko  thā  alī  kā  ishāra  ki  baiTh  jaao
lāzim  nahīñ  ki  vaaz  meñ  naanā  ko  tum  satāo
bole  hasan  ki  vaah  hameñ  aur  kareñ  na  pyaar
iqrār  ke  chuke  haiñ  shahanshāh-e-nām-dār
bhaa.ī  se  tab  kahā  ye  hasan  ne  ba-iltifāt
be-vaj.h  ham  se  rūThe  ho  tum  ai  niko-sifāt
ye  sun  ke  muñh  alī  kā  lage  dekhne  rasūl
hañs  kar  kahā  ye  donoñ  haiñ  mere  chaman  ke  phuul
shabbar  se  phir  ishāra  kiyā  ho  ke  be-qarār
ġhussa  na  khaao  pahle  tumhīñ  ko  kareñge  pyaar