dil  kī  raġhbat  hai  jab  aap  hī  kī  taraf
kis  liye  aañkh  uThtī  kisī  kī  taraf
kaisī  uljhan  he  bāzī-gah-e-shauq  meñ
ham  haiñ  in  kī  taraf  vo  kisī  kī  taraf
sirf  ashk-o-tabassum  meñ  uljhe  rahe
ham  ne  dekhā  nahīñ  zindagī  kī  taraf
ham  jo  ġhol-e-bayābāñ  se  vāqif  nahīñ
chal  diye  duur  kī  raushnī  kī  taraf
dair-o-ka.aba  se  pyāsī  jabīneñ  liye
aa  ga.e  ham  tirī  bandagī  kī  taraf
raat  Dhalte  jab  un  kā  ḳhayāl  aa  gayā
TukTukī  bañdh  ga.ī  chāñdnī  kī  taraf
jab  na  qasd-e-ḳhudī  ke  darīche  khule
ahl-e-dil  ho  liye  be-ḳhudī  kī  taraf
ham  ne  dil  kī  lagī  un  se  kī  thī  bayāñ
baat  vo  le  ga.e  dil-lagī  kī  taraf
jāda-e-āgahī  par  baḌī  bhiiḌ  thī
saikḌoñ  muḌ  ga.e  gumrahī  kī  taraf
haiñ  mire  halqa-e-ilm  meñ  bil-yaqīñ
āsmāñ  ke  payām  aadmī  kī  taraf
un  ke  jalvoñ  kī  jānib  nazar  uTh  ga.ī
mauj  thī  baḌh  ga.ī  chāñdnī  kī  taraf
kaun  sā  jurm  hai  kyā  sitam  ho  gayā
aañkh  agar  uTh  ga.ī  aap  hī  kī  taraf
jaane  vo  multafit  huuñ  kidhar  bazm  meñ
āñsuoñ  kī  taraf  yā  hañsī  kī  taraf
us  ke  pindār-e-ḳhud-āgahī  par  na  jā
dekh  insāñ  kī  bechārgī  kī  taraf
apne  māhaul  meñ  kyuuñ  añdherā  kareñ
der  tak  dekh  kar  raushnī  kī  taraf
maut  kī  raah  āsān  ho  jā.egī
pyaar  se  dekhiye  zindagī  kī  taraf
ham  junūñ-mañd  bhī  itne  vāqif  to  haiñ
aql  kā  ruḳh  hai  vāraftagī  kī  taraf
shā.irī  kī  kisī  manzil-e-dard  meñ
ik  darīcha  hai  paiġhambarī  kī  taraf
jaane  āñkhoñ  ne  āñkhoñ  se  kyā  kuchh  kahā
zindagī  jhuk  ga.ī  zindagī  kī  taraf
'dānish'  inkār  ḳhāliq  se  hotā  nahīñ
dekhtā  huuñ  maiñ  jab  aadmī  kī  taraf