Ehsan Danish

ishq har-chand masaib se pareshan na hua

Ehsan Danish

Shamli, Uttar pradesh, India

1915-1982
ishq har-chand masā.ib se pareshāñ na huā
na huā husn magar tāba-e-farmāñ na huā
laakh duniyā ne ye chāhā ki pareshāñ ho magar
maiñ tire ġham kī hifāzat meñ pareshāñ na huā
dil kī āvāz ho mahrūm-e-asar kyā ma.anī
ishq kāfir hai agar husn musalmāñ na huā
darpai uqda-e-hastī hai azal hī se bashar
lekin ik ḳhaak ke zarre kā bhī irfāñ na huā
dil meñ har ḳhuun kā qatra hai talātum ba-kanār
jo magar aañkh se Tapkā vahī tūfāñ na huā
to vo āzād ki be-vaj.h hai mujh se bhī gurez
maiñ vo majbūr ki dushman se bhī nālāñ na huā
apnī paiġhām-navā.ī ke natā.ej meñ mujhe
fikr-e-zindāñ to rahā hai ġham-e-zindāñ na huā
jis ke mashrab meñ mohabbat ho mohabbat kā javāb
merī taqdīr meñ aisā koī insāñ na huā
ek hī jalve se 'ehsān' nazar haT na sakī
mujh se kuchh us ke sivā kār-e-numāyāñ na huā
Top Urdushayar.com