Ehsan Danish

aaya nahin hai rah pe charKH-e-kuhan abhi

Ehsan Danish

Shamli, Uttar pradesh, India

1915-1982
aayā nahīñ hai raah pe charḳh-e-kuhan abhī
ḳhatre meñ dekhtā huuñ chaman kā chaman abhī
uTTheñge apnī bazm se mansūr saikaḌoñ
kaam ahl-e-haq ke ā.eñge dār-o-rasan abhī
rañj-o-mehan nigāh jo phereñ to pher leñ
lekin mujhe aziiz haiñ rañj-o-mehan abhī
baḌhne do aur shauq-e-shahādat avaam meñ
kuchh bāñjh to nahīñ hai ye ḳhāk-e-vatan abhī
āñkhoñ kī surḳhiyāñ haiñ azā.em kā ishtihār
siine sulag rahe haiñ lagī hai lagan abhī
ye kārvāñ shanāvar-e-tūfāñ to hai magar
chehroñ pe boltī hai safar kī thakan abhī
haiñ sāmne hamāre rivāyāt-e-kār-zār
bāñdhe hue haiñ sar se mujāhid kafan abhī
ban ban ke jaane kitne fanā hoñge somnāt
baste haiñ har galī meñ yahāñ but-shikan abhī
ai shahryār ham se shikasta-diloñ meñ aa
terī taraf se ḳhalq ko hai husn-e-zan abhī
raqsāñ abhī haiñ shām-e-ġharībāñ kī jhalkiyāñ
raushan nahīñ hai ḳhanda-e-sub.h-e-vatan abhī
jiite raheñ umiid pe rindān-e-tishna-kām
chaltā nahīñ hai daur-e-sharāb-e-kuhan abhī
jin ke lahū se qasr-e-vafā meñ jale charāġh
in ġham-zadoñ meñ aam haiñ rañj-o-mehan abhī
gulshan se phuul chal ke mazāroñ tak aa ga.e
lekin hai bāġhbāñ kī jabīñ par shikan abhī
hai ilm kī nigāh se pinhāñ rah-e-amal
kahte nahīñ kafan ko yahāñ pairahan abhī
nabz-e-bahār par haiñ bagūloñ kī uñgliyāñ
chalne ko chal rahī hai nasīm-e-chaman abhī
shabnam ke ashk sūkhne detī nahīñ fazā
hañstā hai ḳhud bahār-e-chaman par chaman abhī
har gaam har maqām pe koshish ke bāvajūd
'dānish' na aa sakā mujhe jiine kā fan abhī
Top Urdushayar.com