bahār  aa.ī  hai  phir  jhuum  kar  sahāb  uThā
kahāñ  hai  mutrib-e-rañgīñ-navā  rabāb  uThā
javāz  mai  kā  muḳhālif  agar  hai  ai  vaa.iz
kahāñ  likhā  hai  dikhā  lā  uThā  kitāb  uThā
fazā  meñ  khol  diye  haiñ  ghaTāoñ  ne  gesū
nahīñ  hai  jaam  na  ho  shīsha-e-sharāb  uThā
har  ek  phuul  meñ  raqsāñ  hai  kā.enāt-e-jamāl
bahār  aa.ī  ki  hai  ik  mahshar-e-shabāb  uThā
kahāñ  ke  dair-o-haram  justajū-e-jalva-gar
yahī  naqāb  hai  āñkhoñ  se  ye  naqāb  uThā
nasīm-e-sub.h  se  shāḳheñ  milīñ  to  maiñ  samjhā
ki  husn-e-ālam  tiflī  meñ  nīm-ḳhvāb  uThā
libās-e-māh  meñ  'ehsān'  dekh  kaun  aayā
nigāh-e-sū-e-falak  ḳhānumāñ-ḳharāb  uThā