hañgāma-e-ḳhudī  se  tū  be-niyāz  ho  jā
gum  ho  ke  be-ḳhudī  meñ  āgāh-e-rāz  ho  jā
had  bhī  to  chāhiye  kuchh  be-e'tinā.iyoñ  kī
ġhārat-gar-e-tahammul  taskīñ-navāz  ho  jā
ai  sarmadī  tarāne  har  shai  meñ  soz  bhar  de
ye  kis  ne  kah  diyā  hai  pāband-e-sāz  ho  jā
ġhairat  kī  chilmanoñ  se  āvāz  aa  rahī  hai
mahv-e-niyāz-mandī  aa  be-niyāz  ho  jā
aa  mil  ke  phir  banā.eñ  mai-ḳhāna-e-mohabbat
maiñ  jur.a-kash  banūñ  tū  paimāna-sāz  ho  jā
siine  meñ  soz  ban  kar  kab  tak  chhupā  rahegā
unvān-e-rāzdārī  tafsīl-e-rāz  ho  jā
ab  so  chukī  ummīdeñ  ab  thak  chukīñ  nigāheñ
jān-e-niyāz-mandī  masrūf-e-nāz  ho  jā
soz-e-nazar  se  chhalkeñ  naġhmāt-e-rāz-e-hastī
ai  uqda-e-taġhāful  rūdād-e-nāz  ho  jā
'ehsān'  kaash  uTTheñ  ye  rañg-o-bū  ke  parde
ai  mahfil-e-haqīqat  bazm-e-majāz  ho  jā