kuchh  is  tarah  se  tasavvur  meñ  aa  rahā  hai  koī
charāġh  ruuh  meñ  jaise  jalā  rahā  hai  koī
koī  kalīm  uThe  varna  intizār  ke  ba.ad
charāġh-e-tūr-e-mohabbat  bujhā  rahā  hai  koī
vo  dair  kā  thā  ki  ka.abe  kā  ye  nahīñ  ma.alūm
mirī  ḳhudī  kā  muhāfiz  ḳhudā  rahā  hai  koī
jo  roknā  ho  to  aa  baḌh  ke  rok  le  varna
tire  hudūd-e-taġhāful  se  jā  rahā  hai  koī
ravāñ-davāñ  nahīñ  be-vaj.h  kārvān-e-hayāt
mujhe  zarūr  kahīñ  se  bulā  rahā  hai  koī
badal  rahe  haiñ  jujūn-o-ḳhirad  ke  paimāne
kis  ehtimām-e-taġhayyur  se  aa  rahā  hai  koī
na  kuchh  malāl-e-asīrī  na  ḳhatra-e-sayyād
qafas  samajh  ke  nasheman  banā  rahā  hai  koī
zamīn-o-charḳh  ne  inkār  kar  diyā  jis  se
vo  baar  dosh-e-vafā  par  uThā  rahā  hai  koī
jahān-e-nau  meñ  ba-rañg-e-kashākash-e-paiham
hayāt-e-nau  ke  salīqe  sikhā  rahā  hai  koī
ḳhabar  karo  ye  haqā.eq  ke  pāsbānoñ  ko
majāz  kho  ke  haqīqat  meñ  aa  rahā  hai  koī
na  jaane  kaun  sī  manzil  meñ  ishq  hai  ki  mujhe
mire  hudūd  se  bāhar  bulā  rahā  hai  koī
Daro  ḳhudā  se  baḌā  bol  bolne  vaalo
qarīb  ham  se  bhī  be-intihā  rahā  hai  koī
mujhe  sitam  meñ  izāfe  kā  ġham  nahīñ  lekin
yaqīn  kar  ki  mire  ba.ad  aa  rahā  hai  koī
nigāh-o-lab  meñ  hañsī  kī  sakat  nahīñ  lekin
ba-jabr-e-ishq-o-vafā  muskurā  rahā  hai  koī
ye  sub.h-o-shām  kī  yūrish  ye  mausamoñ  kī  ravish
ki  jaise  mere  ta.āqub  meñ  aa  rahā  hai  koī
kisī  ko  is  kī  ḳhabar  hī  nahīñ  thī  kuchh  'ehsān'
ki  miT  ke  apnā  zamāna  banā  rahā  hai  koī