jab  bhī  ḳhalvat  meñ  vo  yaad  aa.egā
vaqt  kā  sail  Thahar  jā.egā
chāñd  tum  dekh  rahe  ho  jis  ko
ye  bhī  aañsū  sā  Dhalak  jā.egā
ek  do  moḌ  hī  muḌ  kar  insāñ
bām-e-gardūñ  kī  ḳhabar  lā.egā
maiñ  ne  dekhe  haiñ  chaman  be-parda
koī  gul  kyā  mire  muñh  aa.egā
husn  se  duur  hī  rahnā  behtar
jo  milegā  vahī  pachhtā.egā
aur  kuchh  der  sitāro  Thahro
us  kā  va.ada  hai  zarūr  aa.egā
un  kī  zulfoñ  kī  mahak  le  'dānish'
is  dhundalke  ko  kahāñ  pā.egā