parastish-e-ġham  kā  shukriya  kyā  tujhe  āgahī  nahīñ
tere  baġhair  zindagī  dard  hai  zindagī  nahīñ
dekh  ke  ḳhushk  o  zard  phuul  dil  hai  kuchh  is  tarah  malūl
jaise  mirī  ḳhizāñ  ke  baad  daur-e-bahār  hī  nahīñ
daur  thā  ik  guzar  chukā  nasha  thā  ik  utar  chukā
ab  vo  maqām  hai  jahāñ  shikva-e-be-ruḳhī  nahīñ
ishrat-e-ḳhuld  ke  liye  zāhid-e-kaj-nazar  jhuke
mashrab-e-ishq  meñ  to  ye  jurm  hai  bandagī  nahīñ
tere  sivā  karūñ  pasand  kyā  tirī  kā.enāt  meñ
donoñ  jahāñ  kī  nemateñ  qīmat-e-bandagī  nahīñ
laakh  zamāna  zulm  Dhaa.e  vaqt  na  vo  ḳhudā  dikhā.e
jab  mujhe  ho  yaqīñ  ki  tū  hāsil-e-zindagī  nahīñ
dil  kī  shaguftagī  ke  saath  rāhat-e-mai-kada  ga.ī
fursat-e-mai-kashī  to  hai  hasrat-e-mai-kashī  nahīñ
ashk-e-ravāñ  kī  āb-o-tāb  kar  na  avaam  meñ  ḳharāb
azmat-e-ishq  ko  samajh  girya-e-ġham  hañsī  nahīñ
arsa-e-furqat-o-firāq  aisā  tavīl  to  na  thā
bhuul  rahe  ho  tum  mujhe  maiñ  koī  ajnabī  nahīñ
zaḳhm  pe  zaḳhm  khā  ke  jī  apne  lahū  ke  ghūñT  pī
aah  na  kar  laboñ  ko  sī  ishq  hai  dil-lagī  nahīñ
ek  vo  raat  thī  ki  jab  thā  mire  ghar  vo  māhtāb
ek  ye  raat  hai  ki  ab  chāñd  hai  chāndnī  nahīñ
muzhda  ki  nā-murād-e-ishq  terī  ġhazal  kā  hai  vo  rañg
vo  bhī  pukār  uThe  ki  ye  sehr  hai  shā.irī  nahīñ