vafā.eñ  kar  ke  jafāoñ  kā  ġham  uThā.e  jā
isī  tarah  se  zamāne  ko  āzmā.e  jā
kisī  meñ  apnī  sifat  ke  sivā  kamāl  nahīñ
jidhar  ishāra-e-fitrat  ho  sar  jhukā.e  jā
vo  lau  rabāb  se  niklī  dhuāñ  uThā  dil  se
vafā  kā  raag  isī  dhun  meñ  gungunā.e  jā
nazar  ke  saath  mohabbat  badal  nahīñ  saktī
nazar  badal  ke  mohabbat  ko  āzmā.e  jā
ḳhudi-e-ishq  ne  jis  din  se  khol  diiñ  āñkheñ
hai  āñsuoñ  kā  taqāzā  ki  muskurā.e  jā
nahīñ  hai  ġham  to  mohabbat  kī  tarbiyat  nāqis
havādis  aa.eñ  to  narmī  se  pesh  aa.e  jā
thī  ibtidā  meñ  ye  tādīb-e-muflisī  mujh  ko
ġhulām  rah  ke  ġhulāmī  pe  muskurā.e  jā
badal  na  raah  ḳhirad  ke  fareb  meñ  aa  kar
junūñ  ke  naqsh-e-qadam  par  qadam  baḌhā.e  jā
ummīd  o  yaas  meñ  jiinā  hai  ishq  kā  maqsūd
isī  maqām-e-muqaddas  pe  tilmilā.e  jā
chaman  meñ  fursat  o  taskīñ  hai  maut  kā  paiġhām
sukūñ  pasand  na  kar  āshiyāñ  banā.e  jā
yahī  hai  lutf-e-mohabbat  yahī  hai  kaif-e-hayāt
haqīqatoñ  kī  binā  par  fareb  khaa.e  jā
vafā  kā  ḳhvāb  hai  'ehsān'  ḳhvāb-e-be-tābīr
vafā.eñ  kar  ke  muqaddar  ko  āzmā.e  jā